September 18, 2011

Aakrosh...

Dil mein aakrosh hai...

Har ek din jab ghar ko lautoon,
Mann ye pooche mujhse hai,
Kisliye hai labj gum ye,
Aur dil mein aakrosh hai ?

Paisewaalo ki ye nagari,
Kambal odh soti rahe,
Kaabu shauk par nahi hai,
Fir bhi inhe to hosh hai,
Dil mein aakrosh hai...

Sadak pe baithe hai koi,
Taj mein mashgool kuch hai,
Koi, jo pooche to keval,
"Bhagwaan" ka hi dosh hai!
Dil mein aakrosh hai...

Laal batti sar pe leke,
Ye to masti krte rahe,
Baaki nahi chhoda hai lena,
Phir bhi na santosh hai!
Dil mein aakrosh hai...

Pehredaar bhi kya kare jab,
Kaam pe rakhte chor hai,
Malai se hai pet bharta
Gharmein bhi paritosh hai.
Dil mein aakrosh hai...


Aaj ka ye "aam aadmi",
Bhaagte daude na thake,
Manzil ka thikana nahi hai,
Sangharsh mein madhosh hai!
Dil mein aakrosh hai...

Jimmedari jinpe hai wo,
Aapas mein hi hod kare,
Bhraant vichaaro ke dango pe
Kehte ye ki "josh hai"!
Dil mein aakrosh hai...

Kitna batau, kya kya sunau,
Mann ko mere kya samjhau,
Kahi na kahi , in baaton mein
Mera bhi kuch dosh hai...

Shayad isiliye ye dhadkane,
Khaamosh hai , behosh hai
Aur dil mein aakrosh hai ,
Dil mein aakrosh hai...!

No comments:

Post a Comment