May 18, 2012

Gam Nahi

Berukhi ka parda karke,
Chehra chupega, shakhsiyat nahi
Bas ek baar muskuraake dekho,
Fir mit jaane ka bhi gam nahi.

Khayalon ki is kashmakash mein khoye,
Aansu bahane ka bhi ab dum nahi
Sunlo bas ek baat hai kehni
Fir barbaadi mein bhi gam nahi.

Andar ki woh baat kaise pahunchaye,
Dil mein kahi bhi hum nahi
Bas ek baar keh ke dekho
To mar jaane mein bhi gam nahi.

Dekhna,sunana aur sunaana na bhi ho to
Bas soch hi lena ae zaalim.
Fir to duniyaa mein humaara
Naamo-nishaan bhi na to gam nahi.

1 comment: